Train reservation ticket me pnr ,RAC & RS371 means kya hota h .
Train reservation system me kai tarah ka code hota h ,kuch code station ke nam ka hota h ,kuch seat tatha ticket aur seat confirmation ke bare me hota h .Esme se ek h RAC it means reservation against cancellation hota h .
RACme aapko baithne ke liye ek seat diya jayega but pura ek seat aapko nhi diya jata h blki ek seat ko kisi aur ke sath share krna pdata h .bad me ydi TTE ko khi khali seat dikhega to vo dono ko ek ek seat alg alg allot kar dega .
Vaise aap ticket se sambandhit jankari 139 number par apne PNR NUMBER dal kr sms kr ke Jan sakte h .
PNR means passanger name record hota h jo ek digital information passenger ke bare me hota h .es n ke aadhar par aap apne ticket reservation ki position ke bare me puri jankari pa sakte h .
Aap PNR status on line Google ke madhyam se ya IRCTC aap , railyatri app kisi se pa sakte h .
PNR STATUS 10 number ka digit hota h jo ticket ke left upper side me likha rahta h.
Now ,RS371 ka meaning h ki aapka seat chart prepared ho jane ke bad RAC me coach S3 me 71 number diya gya h .jise ek aadami ke sath share krna hoga .
Esi prkar RS7 7 Ka arth h RAC me S7 bogi me seat 7 number h .
Note -mostly RAC seat SL(side lower ) me diya jata h .
**********************Thanks 👍
Comments
Post a Comment